Saturday, July 9, 2011

Is karam ka karu shukar kaise ada Jo karam mujh pe mere

Is karam ka karu shukar kaise ada,
Jo karam mujh pe mere NABI kardiya.
Main sajata tha SARKAR ki mehfilein,
RUB ne her gham se mujh ko Barri kadiya.
Aur ZIKAR-E-SARKAR ki hain bari barkatein,
Mil gaen azmatein, Rahtein, Rifatein.
Main Gunahgaar tha Be-ammal tha magar,
MUSTAFA ne mujhe janati kardiya.
Aur jo b aya hai Mehfil mein SARKAR ki,
Hazri Mil gai usko Drbar ki.
Koi SADEEQ, FAROOQ, USMAN hua,
Aur kisi ko NABI ne ALI kardiya.
Koi b Mayus lota na Darbar se,
Jo b manga milla meri SARKAR se.

No comments:

Post a Comment