Saturday, July 9, 2011

Dekhna phir meri SARKAR ka ana hoga

Pehle SARKAR ki mehfil ko sajana hoga,
Dekhna phir meri SARKAR ka ana hoga.
Naat likhta rahoo, Naat main parta he rahoo,
Khuld mein mere janay ka ye bahana hoga.
Kyun tu ghabraye UNKA sanna-khawaan hokar,
Qabar mein sath ye Naato ka hazana hoga.
PANJ TANN ka gadda hoon kitna karam hai mujh per,
Mera haami wahan AQA(S.A.W.W) ka GHARANA hoga.

No comments:

Post a Comment